Thursday, February 19, 2009

Shikwa-e-Programmer - With due respect to Allama Iqbal

Hum say pehlay tha teri product ka ajab manzar
Kahin code tha phatta kahin functionality thee sifer
Mehv-e-Khuwab-e-Khurgoosh thee PM ke Nazar
Manta phir koi mujh jaisay coder koo kyounker
Tujh koo maloom hay bikta tha kiya Software tera?
Aakhir meeri he product nay kiya kaam tera?

Bus rahay thay yahin PM bhee, consultants bhee
Ahle QA, SQA main cabins main architects bhee
Issi floor per aabad thay marketers bhee
Issi duniya main Analyst bhee thay designers bhee
Per teray clients kee mushaq'qatain uthain kis nay?
Baat jo bigri hovi thee woo banai kis nay?

Thay hamein aik teray mourka aaraon main
Kabhi office main kee coding kabhi Khala'aon main
Dein client koo kabhi topiyan hawaon main
Kabhi patch main, kabhi exe main kabhi sadaon main
Shaan aankhon main na jachti thee Jahandaron ke
Jeetay martay thay hum chao'on main talwaroon ke

Hum joo jeetay thay too coding ke musebat kay liyay
Or martay thay company ke Azmat kay liyay
Us pay shikwa kay kee coding apraisal kay liyay!
Raat bhar kaam keya kartay thay kiya phokat kay liyay?
Coders itna he agar khush hoota too wafa karta!
Four thousand kay liyay kabhi job swith na karta

Kuch na khatay thay agar office main ruk jaatay thay
Paaon TL kay bhee maidan say ukhar jaatay thay
Bug jo sirkush hova koi too bigar jaatay thay
Interface kiya cheez hay hum code main ghus jaatay thay
Code phat chuka thaa joo aakhir woo chalaya kis nay?
Bhund joo Mgmt ka thaa uskoo nibhaya kis nay?

Aagaya ain coding main agar waqt-e-namaz
Qibl-ru-ho kay zameen boas hoi apni zaat
Aik he suf main kharay hoo ga'ay TL kay sath
Na koi TL raha or na koi PM yaad
Banda-e-Sahib-O- Muhtaj-o-Ghani aik hovay
Uspay shikwa hay kay hum panch minute late hovay

2 comments:

Chief Editor said...

Sounds like an IT-based-ORM; mapping IT-Life to real life.

Irfan said...

Masha-Allah!